How to face 1st year of Engineering?

Ajit More
January 23 2021

6 Min Read

A picture that shows womens dreams and desires creatively using sticky notes

Hello Students,
Agle kuch dino me aapka engineering college me admission hoga, fir uske baad new college, new friends, new teachers, new studies and new problems. Yes problems…! Kya aapko pata hai 1st year engineering main aapko kaun-kaun se problems ko face karna pad sakta hai, aur kya aap log tayyar ho uske liye? So, students aaj me aapko bataunga ke 1st year engineering me aapko kaun-kaun se problems ko face karna padega aur uske upar solution kya hai, kaise aapko wo problems solve karne hai.

1.Maximum Syllabus and Minimum Time

A black typewriter showing a white paper with GENDER ROLES writter in it

12th std ki padhai maximum student’s 11th std ke half se he start karte hai, matlab 12th std ki padhai karne ke liye aapke pass one and half year ka time tha, lekin ab aapko utni he padhai, ya ussey jyada padhai engineering ke har semester me karni padegi. Ab aap bologe ye kaise possible hai? Lekin ye possible hai agar aap aapke study ka proper time table banaoge toh. Jaruri nahi ki aap har roz subah 4 baje tak padhai kare. Aapko bus din me 2 ghante self-study karna hai. Ab sabko lagta hai ki assignment complete kardena matlab padhai karlena, jo ki sabse badi galat baat hai. Self-study ka matlab hai ke college me sikhaya gaye topic se related extra problems solve karna. Maximum colleges me syllabus complete nahi hota. Isliye aapko college ke lectures par depend na rehte hue koi accha coaching class lagana chahiye. Saarey subject ka class lagana agar possible nahi hai toh at least jo important subject hai, jisme KT lagne ke maximum chances hote hai jaise ki Applied Mathematics-1 (M1), Engineering Mechanics (EM) and Basic Electrical Engineering (BEE) ye tin subjects ke liye aapko class lagane ki jarurat hai.

Kuch student’s overconfidence me class join nahi karte. Unhe lagta hai ki 12th me mere 90% marks hai to main engineering bhi aasani se clear kar lunga. Lekin exam nazdeek aane par acche se tayyari na hone ki wajah se wo tension me aate hai aur 2-3 KT lag jati hai. Semester 1 me KT lagne ki wajah se aapka semester 2 bhi disturb ho jata hai. Kyuki semester 1 ke jo KT papers hai wo semester 2 ke papers ke beech me aate hai aur uski wajahse aap semester 2 par bhi concentrate nahi kar paate aur usme bhi aapko 2-3 KT lag jati hai. Semester 1 ka jo time hota hai wo sabse crucial time hota hai, isme agar aapki gadi track par aagayi toh aagey ka journey bahot aasaan hoga. Toh isliye kuch bhi karke semester 1 ko clear karke aapko semester 2 me entry karna hai.

Semester 1 me aapke pass sirf 3 months ka time hota hai usme bhi maximum 40-45 days college hota hai, usme 2 baar unit test hota hai, everyday practical’s, tutorials, assignments, oral exam, prelim exam, practical exams, submissions etc. Aur isme he aapka pura week nikal jata hai. Toh isliye aapko weekend batches join karni chahiye ya fir sabse best option ye hai ki RKDEMY ke video lectures use kijiye, jisey aap log ek bar download karne ke baad kahi bhi aur kabhi bhi dekh sakte ho aur wo bhi affordable price me, jo ki kisi bhi class ki fees se bahot kam hai.

RKDEMY ke video lectures dekhne se aapka minimum time me maximum padhai kar sakte hai. Bus ho ya train, travel karte samay bhi aap lectures dekhke woh time aap utilise kar sakte ho.

2.Presentation Skill and Basic Concept

Two eggs representing male and female gender in a cute way

Kehte hai ki “Jitna achha presentation utna achha Engineer”. Engineering ke almost sabhi subjects aapke presentation skill per depend karte hai, jaise ki Engineering Mechanics, Mechanics ke sabhi problems me aapko diagrams draw karne padte hai, agar wo diagrams aap neat, clean and perfect draw karte ho toh calculation bhi easy ho jata hai. Presentation skill kharab hone ki wajahse maximum students ko Mechanics me KT lagta hai. Aur haa, Mechanics me pass hone ke liye sirf padhai ki nahi, toh proper planning ki aur confidence ki jarurat hai. Aur aap me confidence tabhi aayega jab aap acche se practice karoge.

Presentation skill ke sath-sath aapke basic concept bhi perfect hone chahiye, jaise ki Trigonometric ke formulae, at least 1 to 15 Tables, Derivative and Integration ke formulae, Current electricity ke basic Laws (Ohm’s Law, KVL, KCL etc.)

3.Rumours

A black typewriter showing a white paper with GENDER ROLES writter in it

Engineering me admission lene ke baad aapko bahot aise log milenge, jo bolenge ki “ab engineering ko koi scope nahi hai” ya fir “ab engineers ko koi job nahi lagta”. Actual me aise rumours failane walo ka engineering ke sath dur-dur tak koi connection nahi hota. Aise logo ko ignore karna hai, bus aapko aapke career par focus karna hai.

Kuch log aisa bhi bolte hai ki KT lagne se aapka career barbad ho jayega, ya fir aapki life khatam ho jayega. Actually “KT is part of engineering, not the heart of engineering”. Bus aapko khayal rakhna hai ki kam se kam KT lage ya fir bilkul na lage, taki aapko achhe-se-achhe company me job lag sake. Achhe company me job lagne ke liye aapko kam-se-kam 7 pointer lana hai in each semester. Aur reputed college se post-graduation karne ke liye minimum 9 pointer hona chahiye.

Ek baat yaad rakho, aisa kabhi nahi hota ki achha pointer nikala matlab achhe company me job lagega he. Achha pointer matlab ek gatepass hota hai aapki dream company me jane ka. Aap interview main kaise perform karte ho uske upar bahot kuch depend hota hai. Aur iske liye aapko ratta master nahi banna hai balki aapke pass achha practical knowledge hona chahiye.

4.Friend Circle

A black typewriter showing a white paper with GENDER ROLES writter in it

1st year engineering me admission lene wale students ka average age 18-19 years hota hai, aur ye age me hamare jo friends bante hai wo lifetime hamare sath rehte hai, unka prabhav hamare lifestyle pe hota hai. Actually, hum jin logoke sath rehte hai usse hamari ek pehchan ban jati hai. Toh isliye hume friendship karte waqt bahot soch samajh kar friendship karni chahiye. Aur sabse important, iss age me hame jo aadate lagti hai use hum lifetime continue karte hai. Jaise ki books padhna, exercise karna, etc. Toh achhi aadate lagne ke liye achha friend’s circle bhi hona chahiye.

Bus, ek baat yaad rakhna ki aap ek achha engineer nahi ban sake to bhi chalega lekin ek achha insan banna mat bhulna. Aaj ke zamane me uski bahot jyada jarurat hai.

Aapko meri taraf se bohot-bohot subhkamnaye. Thank you.